dayār-e-jism se sahrā-e-jāñ tak
uḌuuñ maiñ ḳhaak sā āḳhir kahāñ tak
kuchh aisā ham ko karnā chāhiye ab
utar aa.e zamīñ par āsmāñ tak
bahut kam fāsla ab rah gayā hai
biphartī āñdhiyoñ se bādbāñ tak
mayassar aag hai gul kī na bijlī
andhere meñ paḌe haiñ āshiyāñ tak
ye jañgal hai nihāyat hī pur-asrār
qadam rakhtī nahīñ is meñ ḳhizāñ tak
vahīñ tak kyuuñ rasā.ī hai hamārī
nuqūsh-e-pā zamīñ par haiñ jahāñ tak
nikal aao hisār-e-ḳhāmushī se
jo dil meñ hai vo laao bhī zabāñ tak
yahāñ shaitāñ pa hai ik larza taarī
nahīñ uThtā charāġhoñ se dhuāñ tak