Rafiq Raaz

tamam shahr tha jangal sa inT patthar ka

Rafiq Raaz

1954
tamām shahr thā jañgal sā iiñT patthar kā
ġhazab vo dekh ke aayā huuñ bād-e-sarsar kā
sadā.eñ chashme ubalne kī aa rahī haiñ mujhe
kisī ne toḌ diyā kyā sukūt patthar kā
milā hai ḳhāk-nashīnī se ye maqām mujhe
zamīñ hai taḳht falak taaj hai mire sar kā
mujhe to koī bhī mausam uḌā nahīñ saktā
ki maiñ to rañg huuñ us ke adhūre manzar kā
ravāñ kiyā hai mujhe kin bulandiyoñ kī taraf
ki āsmān bhī lagtā hai saaya shah-par kā
maiñ apnā ghar to jalā ke safar pe niklā thā
ḳhayāl dasht meñ aayā faqat tire dar kā
sunā.ī detī nahīñ hai ab apnī aahaT bhī
ravāñ huā hai har ik samt shor andar kā
jab āftāb sā mujh par huā thā raushan tū
mujhe hai yaad vo yaḳh-basta din december kā
havā-e-lams meñ ik aag bhī thī poshīda
ki tābnāk huā jism sañg-e-marmar kā
zahe-nasīb mohammad kā nām-levā huuñ
hai laakh shukr ḳhudā-e-buzurg-o-bartar kā
Top Urdushayar.com