bujhā charāġh havāoñ kā sāmnā kar ke
bahut udaas huā huuñ darīcha vā kar ke
sukūt TuuT gayā aur raushnī sī huī
sharār sañg se niklā ḳhudā ḳhudā kar ke
khulā na din ko kisī ism se vo āhanī dar
ab aao dekhte haiñ raat ko sadā kar ke
uḌūñgā ḳhaak sā pahle-pahal aur āḳhir-e-kār
havā-e-tund ko rakh dūñgā maiñ sabā kar ke
vo jis ke bojh se ḳham bhī na thī hamārī kamar
ham aaj aa.e haiñ vo qarz bhī adā kar ke