Rafiq Raaz

fani kahan hai hasti-e-fani ka shor bhi

Rafiq Raaz

1954
faanī kahāñ hai hasti-e-fānī kā shor bhī
shāmil hai is meñ naql-e-makānī kā shor bhī
hassās huuñ aur is pe vo shiddat kī pyaas hai
suntā huuñ ab sarāb meñ paanī kā shor bhī
aisā sukūt thā ki sunā.ī diyā mujhe
harf-e-tahī meñ mauj-e-ma.ānī kā shor bhī
be-barg-o-bār peḌ se rahte haiñ duur duur
rah-gīr bhī havā-e-ḳhizānī kā shor bhī
ḳhākistar-e-badan meñ sulagtī hai koī chiiz
bujhtā nahīñ abhī ye javānī kā shor bhī
terī ġhazal paḌhī to ye jaanā 'rafīq'-rāz
paanī ke shor meñ hai ravānī kā shor bhī
Top Urdushayar.com