abr huuñ aur barasne ko bhī tayyār huuñ maiñ
tujh ko sairāb karūñgā ki dhuāñ-dhār huuñ maiñ
ab to kuchh aur hī ḳhatrāt se do-chār huuñ maiñ
apne hī sar pe laTaktī huī talvār huuñ maiñ
tab maiñ ik aañkh thā jab to koī manzar bhī na thā
aaj tasvīr hai to naqsh-ba-dīvār huuñ maiñ
hijr ke ba.ad ke manzar kā kināya huuñ koī
ik dhuāñ sā pas-e-dīvār-e-shab-e-tār huuñ maiñ
merā sarmāya to bas manzar-e-be-manzarī hai
shahr-e-be-aks kā ik ā.īna-bardār huuñ maiñ
Daal ke sar ko girebāñ meñ laraz uThtā huuñ
muTThī-bhar ḳhaak nahīñ ek siyah ġhaar huuñ maiñ
dekh shāmil hī nahīñ is meñ koī mere sivā
dekh kis qāfila-e-zāt kā sālār huuñ maiñ
bas yahī hai mire hone kā javāz aur surāġh
ik na hone se miyāñ bar-sar-e-paikār huuñ maiñ