Rafiq Raaz

ghazab ki kaT thi ab ke hawa ke tanon mein

Rafiq Raaz

1954
ġhazab kī kaaT thī ab ke havā ke tānoñ meñ
shigāf paḌ ga.e haiñ be-zabāñ chaTānoñ meñ
hamāre hoñT hī patthar ke haiñ vagarna miyāñ
ham ek aag liye phirte haiñ dahānoñ meñ
bagūla ban ke uThā to maiñ thā ḳharābe se
bapā huā na koī hashr āsmānoñ meñ
siyāh shahr kī qismat meñ merā faiz kahāñ
charāġh-e-nazr huuñ jaltā huuñ āstānoñ meñ
Tapak paḌā huuñ bil-āḳhir maiñ apnī āñkhoñ se
chhupā rakhā thā mujhe tum ne kin ḳhazānoñ meñ
sukūt ko na kabhī kar sadā se ālūda
ki ye zabāñ hai muqaddas-tarīñ zabānoñ meñ
suḳhan-shanās fasīloñ kā hai sukūt ġhazab
suḳhan-tarāz haiñ zanjīreñ qaid-ḳhānoñ meñ
Top Urdushayar.com