Rafiq Raaz

hamari tarah huruf-e-junun ke jal mein aa

Rafiq Raaz

1954
hamārī tarah hurūf-e-junūñ ke jaal meñ aa
kabhī to jalva-gah-e-nūn-jīm-dāl meñ aa
abhī to gard zamāne kī uḌ rahī hai yahāñ
abhī na misl-e-sabā kūcha-e-ḳhayāl meñ aa
guzar na jaa.e kahīñ ḳhāmushī meñ ye shab bhī
murāqiba to huā ab zarā jalāl meñ aa
tujhe bhī aaj koī ruup baḳhshtā hī chalūñ
tū sañg hai to mire dast-e-bā-kamāl meñ aa
yahāñ zavāl kā manzar bhī lā-zavāl nahīñ
yaqīñ nahīñ to bayābān-e-māh-o-sāl meñ aa
Top Urdushayar.com