ik dhuāñ uTh rahā hai āñgan se
haiñ abhī kuchh charāġh raushan se
is meñ shāmil hai bū-e-aflākī
ye havā aa rahī hai kis ban se
dene aayā huuñ fat.h kā muzhda
bhaag aayā nahīñ huuñ maiñ ran se
manziloñ kī bhī aarzū hai bahut
Dar bhī lagtā hai mujh ko ran-ban se
ab bhī kyā raat ke andhere meñ
shola uThtā hai gulshan-e-tan se
surḳh-rū ishq kī badaulat huuñ
ki maiñ is aag meñ huuñ bachpan se
ye zamāna hai chāplūsī kā
ham to vāqif nahīñ isī fan se
mujh se pahchān terī qaa.em hai
maiñ tumheñ chāhtā huuñ tan-man se