ek sahrā hai mirī aañkh meñ hairānī kā
mere andar to magar shor hai tuġhyānī kā
koī darvesh-e-ḳhudā-mast abhī shahr meñ hai
naqsh baaqī hai abhī dasht kī vīrānī kā
saañs roke hai khaḌī dar se tire duur havā
ḳhāk-e-dil ye hai sabab terī pareshānī kā
ham faqīroñ kā tavakkul hī to sarmāya hai
shikva kis muñh se kareñ be-sar-o-sāmānī kā
dil ke bāzār meñ halchal sī machā dī us ne
mujh ko bhī dhokā huā yusuf-e-lā-sānī kā
dekhtā huuñ maiñ abhī ḳhvāb usī ke shab o roz
ye ḳhulāsa hai mire qissa-e-tūlānī kā