jism dīvār hai dīvār meñ dar karnā hai
ruuh ik ġhaar hai is ġhaar meñ ghar karnā hai
ek hī qatra to hai ashk-e-nadāmat kā bahut
kaun se dasht-o-bayābān ko tar karnā hai
jalte rahnā bhī hai dīvār pe fānūs ke bin
be-zerah ma.arka-e-bād bhī sar karnā hai
ḳhaak ho jaane pe ai ḳhāk-basar kyuuñ ho ba-zid
kyā tumheñ dosh-e-havā par bhī safar karnā hai
ab in āñkhoñ meñ vo dariyā kahāñ vo chashme kahāñ
chand qatre haiñ jinheñ lāl-o-gohar karnā hai
fat.h-e-gulzār mubārak ho magar yaad rahe
abhī nā-dīda bayābān bhī sar karnā hai
kuchh to hai rañg sā ehsās ke parde meñ nihāñ
jis ko manzar kī tarah vaqf-e-nazar karnā hai
gul-e-nau-ḳhez ko tesha bhī banā de yā-rab
sañg-e-lab-basta ke siine meñ asar karnā hai
ek neze pe lagāne haiñ ka.ī meva-e-sar
ek Tahnī ko samar-dār shajar karnā hai