Rafiq Raaz

chheDa hai naya naghma hayat-e-abadi ne

Rafiq Raaz

1954
chheḌā hai nayā naġhma hayāt-e-abadī ne
is baar tabassum na kiyā sun ke kalī ne
lafzoñ meñ utarne kā hunar siikh rahā huuñ
ḳhatre meñ haiñ alfāz ke sīnoñ meñ dafīne
vo haiñ ki bhaTakte haiñ abhī pyaas ke maare
ham haiñ ki Dubo aa.e sarāboñ meñ safīne
suntā huuñ taḌapte hue paanī kā faqat shor
hassās banāyā hai mujhe tishna-labī ne
aflāk ke manzar haiñ mire sāmne uryāñ
baḳhshī ye bulandī mujhe be-bāl-o-parī ne
shādāb nazar aate haiñ ashjār har ik samt
kyā shahr meñ jañgal kī havā laa.ī kisī ne
pahlū meñ dhaḌaktā hai taḌaptā hai shab-o-roz
bechain kiye rakkhā hai mujh ko mire jī ne
jo rāste jaate haiñ tire arsh kī jānib
vo raste bhī dikhlā.e mujhe dar-ba-darī ne
Top Urdushayar.com