aaj itnā jalāo ki pighal jaa.e mirā jism
shāyad isī sūrat hī sukūñ paa.e mirā jism
āġhosh meñ le kar mujhe is zor se bheñcho!
shīshe kī tarah chhan se chaTaḳh jaa.e mirā jism
yā da.ava-e-mahtāb-e-tajallī na kare vo
yā nuur kī kirnoñ se vo nahlā.e mirā jism
kis shahr-e-tilismāt meñ le aayā taḳhayyul
jis samt nazar jaa.e nazar aa.e mirā jism
ā.īne kī sūrat meñ mirī zaat ke do ruḳh
jaañ mahv-e-fuġhāñ hai to ġhazal gaa.e mirā jism
'tanvīr' paḌho ism koī radd-e-balā kā
ghere meñ liye baiThe haiñ kuchh saa.e mirā jism