Tanveer Sipra

ghamon ki dhup mein bargad ki chhanw jaisi hai

Tanveer Sipra

Jhelum, Punjab, Pakistan

1932-1993
ġhamoñ kī dhuup meñ bargad kī chhāñv jaisī hai
mire liye mirī ham-shīr maaoñ jaisī hai
bhaTaktā huuñ tū mujhe rāsta dikhātī hai
vo ham-safar hai magar rahnumāoñ jaisī hai
ho jaise ek hī kumbe kī saarī ābādī
fazā hamāre mohalle kī gaañv jaisī hai
na.e bashar ne musaḳhḳhar kiye mah-o-anjum
na.e dimāġh meñ vus.at ḳhalāoñ jaisī hai
haqīqatoñ ke muqābil Thahar nahīñ saktī
purānī fikr bhī jhūTe ḳhudāoñ jaisī hai
ḳhalā-navardoñ kī manzil nahīñ paḌāv hai
misāl chāñd kī 'siprā' sarāoñ jaisī hai
Top Urdushayar.com