Tanveer Sipra

uTha leta hai apni eDiyan jab sath chalta hai

Tanveer Sipra

Jhelum, Punjab, Pakistan

1932-1993
uThā letā hai apnī eḌiyāñ jab saath chaltā hai
vo baunā kis qadar mere qad-o-qāmat se jaltā hai
kabhī apne vasā.el se na baḌh kar ḳhvāhisheñ pā luuñ
vo paudā TuuT jaatā hai jo lā-mahdūd phaltā hai
masāfat meñ nahīñ hājat use chhitnār peḌoñ kī
bayābāñ kī dahaktī god meñ jo shaḳhs paltā hai
maiñ apne bachpane meñ chhū na paayā jin khilaunoñ ko
unhī ke vāste ab merā beTā bhī machaltā hai
mirī majbūriyāñ dekho use bhī mo'tabar samjhūñ
jo har taqrīr meñ apnā lab-o-lahja badaltā hai
badan ke saath merī ruuh bhī 'siprā' khathak nāche
ġhazal sāñche meñ jab koī nayā mazmūn Dhaltā hai
Top Urdushayar.com