Krishn Bihari Noor

apna pata na apni KHabar chhoD jaunga

Krishn Bihari Noor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1926-2003
apnā pata na apnī ḳhabar chhoḌ jā.ūñgā
be-samtiyoñ kī gard-e-safar chhoḌ jā.ūñgā
tujh se agar bichhaḌ bhī gayā maiñ to yaad rakh
chehre pe tere apnī nazar chhoḌ jā.ūñgā
ġham dūriyoñ kā duur na ho pā.egā kabhī
vo apnī qurbatoñ kā asar chhoḌ jā.ūñgā
guzregī raat raat mire hī ḳhayāl meñ
tere liye maiñ sirf sahar chhoḌ jā.ūñgā
jaise ki sham.a-dān meñ bujh jaa.e koī sham.a
bas yuuñ hī apne jism kā ghar chhoḌ jā.ūñgā
maiñ tujh ko jiit kar bhī kahāñ jiit pā.ūñgā
lekin mohabbatoñ kā hunar chhoḌ jā.ūñgā
aañsū mileñge mere na phir tere qahqahe
suunī har ek rāhguzar chhoḌ jā.ūñgā
sansār meñ akelā tujhe agle janm tak
hai chhoḌnā muhāl magar chhoḌ jā.ūñgā
us paar jā sakeñgī to yādeñ hī jā.eñgī
jo kuchh idhar milā hai udhar chhoḌ jā.ūñgā
ġham hogā sab ko aur judā hogā sab kā ġham
kyā jaane kitne dīda-e-tar chhoḌ jā.ūñgā
bas tum hī pā sakoge kuredoge tum agar
maiñ apnī raakh meñ bhī sharar chhoḌ jā.ūñgā
kuchh der ko nigāh Thahar jā.egī zarūr
afsāne meñ ik aisā khañDar chhoḌ jā.ūñgā
koī ḳhayāl tak bhī na chhū pā.egā mujhe
ye chāroñ samt āThoñ pahar chhoḌ jā.ūñgā
Top Urdushayar.com