maujoñ ne haath de ke ubhārā kabhī kabhī
paayā hai Duub kar bhī kinārā kabhī kabhī
kartī hai teġh-e-yār ishāra kabhī kabhī
hotā hai imtihān hamārā kabhī kabhī
chamkā hai ishq kā bhī sitāra kabhī kabhī
māñgā hai husn ne bhī sahārā kabhī kabhī
tālib kī shakl meñ milī matlūb kī jhalak
dekhā hai ham ne ye bhī nazāra kabhī kabhī
shoḳhī hai husn kī ye hai jazb-e-vafā kā sehr
us ne hameñ salām guzārā kabhī kabhī
fariyād-e-ġham ravā nahīñ dastūr-e-ishq meñ
phir bhī liyā hai us kā sahārā kabhī kabhī
mushkil meñ de sakā na sahārā koī 'ratan'
haañ dard ne diyā hai sahārā kabhī kabhī