ġham kī bastī ajiib bastī hai
maut mahñgī hai jaan sastī hai
maiñ use kyuuñ idhar-udhar DhūñDūñ
merī hastī hī us kī hastī hai
ālam-e-shauq hai ajab aalam
āsmāñ par zamīn bastī hai
jaan de kar jo zindagī paa.ī
maiñ samajhtā huuñ phir bhī sastī hai
ġham hai khāne ko ashk piine ko
ishq meñ kyā farāġh-e-dastī hai
ḳhāk-sārī kī shaan kyā kahiye
kis qadar auj par ye pastī hai
chāk-e-dāmān zindagī hai 'ratan'
ye junūñ kī darāz-dastī hai