Ratan Pandorwi

lutf KHudi yahi hai ki shan-e-baqa rahun

Ratan Pandorwi

Pandori, Punjab, India

1907-1998
lutf ḳhudī yahī hai ki shān-e-baqā rahūñ
insān ke libās meñ ban kar ḳhudā rahūñ
jab mujh ko mere sāmne aane se aar hai
kis hausle pe tujh ko ḳhudā māntā rahūñ
parde meñ ik jhalak sī dikhāne se fā.eda
jalve ko aam kar ki tujhe dekhtā rahūñ
ik tū ki mere dil hī meñ chhup kar paḌā rahe
ik maiñ ki har chihār taraf DhūñDhtā rahūñ
tū hī batā ki ye koī insāf to nahīñ
terā hī juzv hone pe tujh se judā rahūñ
bhejā hai ai ḳhudā mujhe kyā tū ne is liye
har vaqt zindagī meñ rahīn-e-balā rahūñ
har gaam mujh ko ka.aba hī maqsūd hai ratan
aayā hai vo maqām ki har dam jhukā rahūñ
Top Urdushayar.com