Anvar Mahmood Khalid

KHuda bhi meri tarah ba-kamal aisa tha

Anvar Mahmood Khalid

Gujrat, Punjab, Pakistan

ḳhudā bhī merī tarah bā-kamāl aisā thā
tarāshā us ko jo mere ḳhayāl aisā thā
har ek lamha yahī Dar thā kho na jaa.e kahīñ
rahā vo paas magar ehtimāl aisā thā
thā titliyoñ ke paroñ sā latīf us kā badan
jo tāb-e-lams na rakkhe jamāl aisā thā
pighaltī chāñdī thā nisf-un-nahār par jab thā
bikhartā sonā thā sūraj zavāl aisā thā
jhukā.e rakhtā thā palkeñ vo bāteñ karte hue
kahāñ kā shoḳh thā ḳhalvat meñ haal aisā thā
laboñ se phuuT bahā giit siskiyāñ ban kar
ki lafz lafz meñ us ke malāl aisā thā
hue asiir to phir umr bhar rihā na hue
hamāre gird ta.alluq kā jaal aisā thā
Top Urdushayar.com