jo ho sakā na mirā us ko bhuul jā.ūñ maiñ
parā.ī aag meñ kyuuñ uñgliyāñ jalā.ūñ maiñ
vo ab ke jaa.e to phir lauT kar na aa.e kabhī
bhulā.e aise ki phir yaad bhī na aa.uuñ maiñ
sukhī rahe vo sadā apne ghar ke āñgan meñ
is ik duā ke liye haath ab uThā.ūñ maiñ
na.ī rutoñ ke jhamele hoñ us kā zād-e-safar
shikast-e-arz-e-tamannā pe gungunā.ūñ maiñ
uThā.e naaz vahī jis kī vo amānat hai
na rūThe mujh se na jā kar use manā.ūñ maiñ
vo rotī āñkhoñ kare chaak merī tasvīreñ
ik ek kar ke sabhī us ke ḳhat jalā.ūñ maiñ
uThā ke dekhe vo khiḌkī ke reshmī parde
to chāhne pe bhī us ko nazar na aa.uuñ maiñ
havā ke haath bhī paiġhām vo agar bheje
ḳhayāl ban ke bhī us ke nagar na jā.ūñ maiñ
vo hādsāt kī hiddat se jab pighalne lage
to chāñd ban ke ḳhunuk dil meñ jagmagā.ūñ maiñ