an-kahe lafzoñ meñ matlab DhūñDhtā rahtā huuñ maiñ
kyā kahā thā us ne aur kyā sochtā rahtā huuñ maiñ
yuuñ hī shāyad mil sake hone na hone kā surāġh
ab musalsal ḳhud ke andar jhāñktā rahtā huuñ maiñ
maut ke kaale samundar meñ ubharte Dūbte
barf ke tode kī sūrat Doltā rahtā huuñ maiñ
in fazāoñ meñ umaDtī phailtī ḳhushbū hai vo
in ḳhalāoñ meñ ravāñ, ban kar havā rahtā huuñ maiñ
jism kī do gaz zamīñ meñ dafn kar detā hai vo
kā.enātī had kī sūrat phailtā rahtā huuñ maiñ
dostoñ se sard-mehrī bhī mire bas meñ nahīñ
aur muravvat kī tapish meñ khaultā rahtā huuñ maiñ
ik dhamāke se na phaT jaa.e kahīñ merā vajūd
apnā laavā aap bāhar pheñktā rahtā huuñ maiñ
chain thā 'ḳhālid' to ghar kī chār-dīvārī meñ thā
resturānoñ meñ abas kyā DhūñDhtā rahtā huuñ maiñ