miTTī meñ milā de ki judā ho nahīñ saktā
ab is se ziyāda maiñ tirā ho nahīñ saktā
dahlīz pe rakh dī haiñ kisī shaḳhs ne āñkheñ
raushan kabhī itnā to diyā ho nahīñ saktā
bas tū mirī āvāz se āvāz milā de
phir dekh ki is shahr meñ kyā ho nahīñ saktā
ai maut mujhe tū ne musībat se nikālā
sayyād samajhtā thā rihā ho nahīñ saktā
is ḳhāk-e-badan ko kabhī pahuñchā de vahāñ bhī
kyā itnā karam bād-e-sabā ho nahīñ saktā
peshānī ko sajde bhī atā kar mire maulā
āñkhoñ se to ye qarz adā ho nahīñ saktā
darbār meñ jaanā mirā dushvār bahut hai
jo shaḳhs qalandar ho gadā ho nahīñ saktā