Munawwar Rana

mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
mahfil meñ aaj marsiya-ḳhvānī hī kyuuñ na ho
āñkhoñ se bahne dījiye paanī hī kyuuñ na ho
nashshe kā ehtimām se rishta nahīñ koī
paiġhām us kā aa.e zabānī hī kyuuñ na ho
aise ye ġham kī raat guzarnā muhāl hai
kuchh bhī sunā mujhe vo kahānī hī kyuuñ na ho
koī bhī saath detā nahīñ umr-bhar yahāñ
kuchh din rahegī saath javānī hī kyuuñ na ho
is tishnagī kī qaid se jaise bhī ho nikāl
piine ko kuchh bhī chāhiye paanī hī kyuuñ na ho
duniyā bhī jaise taash ke pattoñ kā khel hai
joker ke saath rahtī hai raanī hī kyuuñ na ho
tasvīr us kī chāhiye har haal meñ mujhe
pāgal ho sar-phirī ho divānī hī kyuuñ na ho
sonā to yaar sonā hai chāhe jahāñ rahe
biivī hai phir bhī biivī purānī hī kyuuñ na ho
ab apne ghar meñ rahne na deñge kisī ko ham
dil se nikāl deñge nishānī hī kyuuñ na ho
Top Urdushayar.com