Munawwar Rana

baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
bādshāhoñ ko sikhāyā hai qalandar honā
aap āsān samajhte haiñ munavvar honā
ek aañsū bhī hukūmat ke liye ḳhatra hai
tum ne dekhā nahīñ āñkhoñ kā samundar honā
sirf bachchoñ kī mohabbat ne qadam rok liye
varna āsān thā mere liye be-ghar honā
ham ko ma.alūm hai shohrat kī bulandī ham ne
qabr kī miTTī kā dekhā hai barābar honā
is ko qismat kī ḳharābī hī kahā jā.egā
aap kā shahr meñ aanā mirā bāhar honā
sochtā huuñ to kahānī kī tarah lagtā hai
rāste se mirā taknā tirā chhat par honā
mujh ko qismat hī pahuñchne nahīñ detī varna
ek e.azāz hai us dar kā gadāgar honā
sirf tārīḳh batāne ke liye zinda huuñ
ab mirā ghar meñ bhī honā hai calendar honā
Top Urdushayar.com