ḳhuun rulvā.egī ye jañgal-parastī ek din
sab chale jā.eñge ḳhālī kar ke bastī ek din
chūstā rahtā hai ras bhauñrā abhī tak dekh lo
phuul ne bhūle se kī thī sarparastī ek din
dene vaale ne tabī.at kyā ajab dī hai use
ek din ḳhāna-badoshī ghar-girhastī ek din
kaise kaise log dastāroñ ke mālik ho ga.e
bik rahī thī shahr meñ thoḌī sī sastī ek din
tum ko ai vīrāniyoñ shāyad nahīñ ma.alūm hai
ham banā.eñge isī sahrā ko bastī ek din
roz-o-shab ham ko bhī samjhātī hai miTTī qabr kī
ḳhaak meñ mil jā.egī terī bhī hastī ek din