dariyā-dilī se abr-e-karam bhī nahīñ milā
lekin mujhe nasīb se kam bhī nahīñ milā
phir uñgliyoñ ko ḳhuuñ meñ Dubonā paḌā hameñ
jab ham ko māñgne pe qalam bhī nahīñ milā
sach bolne kī raah meñ tanhā hamīñ mile
is rāste meñ shaiḳh-e-haram bhī nahīñ milā
maiñ ne to saarī umr nibhā.ī hai dostī
vo mujh se khā ke merī qasam bhī nahīñ milā
dil ko ḳhushī bhī had se ziyāda nahīñ milī
kaase ke e'tibār se ġham bhī nahīñ milā