Munawwar Rana

dohra raha hun baat purani kahi hui

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
dohrā rahā huuñ baat purānī kahī huī
tasvīr tere ghar meñ thī merī lagī huī
in bad-nasīb āñkhoñ ne dekhī hai baar baar
dīvār meñ ġharīb kī ḳhvāhish chunī huī
taaza ġhazal zarūrī hai mahfil ke vāste
suntā nahīñ hai koī dobāra sunī huī
muddat se koī dūsrā rahtā hai ham nahīñ
darvāze par hamārī hai taḳhtī lagī huī
jab tak hai Dor haath meñ tab tak kā khel hai
dekhī to hoñgī tum ne patañgeñ kaTī huī
jis kī judā.ī ne mujhe shā.ir banā diyā
paḌhtā huuñ maiñ ġhazal bhī usī kī likhī huī
lagtā hai jaise ghar meñ nahīñ huuñ maiñ qaid huuñ
miltī haiñ roTiyāñ bhī jahāñ par ginī huī
sāñsoñ ke aane jaane pe chaltā hai kārobār
chhūtā nahīñ hai koī bhī hāñDī jalī huī
ye zaḳhm kā nishān hai jā.egā der se
chhuTtī nahīñ hai jaldī se mehñdī lagī huī
Top Urdushayar.com