ye durveshoñ kī bastī hai yahāñ aisā nahīñ hogā
libās-e-zindagī phaT jā.egā mailā nahīñ hogā
share-bāzār meñ qīmat uchhaltī girtī rahtī hai
magar ye ḳhūn-e-muflis hai kabhī mahñgā nahīñ hogā
tire ehsās kī īñTeñ lagī haiñ is imārat meñ
hamārā ghar tire ghar se kabhī ūñchā nahīñ hogā
hamārī dostī ke biich ḳhud-ġharzī bhī shāmil hai
ye be-mausam kā phal hai ye bahut mīThā nahīñ hogā
purāne shahr ke logoñ meñ ik rasm-e-muravvat hai
hamāre paas aa jaao kabhī dhoka nahīñ hogā
ye aisī choT hai jis ko hamesha dukhte rahnā hai
ye aisā zaḳhm hai jo umr bhar achchhā nahīñ hogā