Munawwar Rana

pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
pairoñ ko mire dīda-e-tar bāñdhe hue hai
zanjīr kī sūrat mujhe ghar bāñdhe hue hai
har chehre meñ aatā hai nazar ek hī chehrā
lagtā hai koī merī nazar bāñdhe hue hai
bichhaḌeñge to mar jā.eñge ham donoñ bichhaḌ kar
ik Dor meñ ham ko yahī Dar bāñdhe hue hai
parvāz kī tāqat bhī nahīñ baaqī hai lekin
sayyād abhī tak mire par bāñdhe hue hai
ham haiñ ki kabhī zabt kā dāman nahīñ chhoḌā
dil hai ki dhaḌakne pe kamar bāñdhe hue hai
āñkheñ to use ghar se nikalne nahīñ detīñ
aañsū hai ki sāmān-e-safar bāñdhe hue hai
pheñkī na 'munavār' ne buzurgoñ kī nishānī
dastār purānī hai magar bāñdhe hue hai
Top Urdushayar.com