vo bichhaḌ kar bhī kahāñ mujh se judā hotā hai
ret par os se ik naam likhā hotā hai
ḳhaak āñkhoñ se lagā.ī to ye ehsās huā
apnī miTTī se har ik shaḳhs juḌā hotā hai
saarī duniyā kā safar ḳhvāb meñ kar Daalā hai
koī manzar ho mirā dekhā huā hotā hai
maiñ bhulānā bhī nahīñ chāhtā is ko lekin
mustaqil zaḳhm kā rahnā bhī burā hotā hai
ḳhauf meñ Duube hue shahr kī qismat hai yahī
muntazir rahtā hai har shaḳhs ki kyā hotā hai