ḳhafā honā zarā sī baat par talvār ho jaanā
magar phir ḳhud-ba-ḳhud vo aap kā gulnār ho jaanā
kisī din merī rusvā.ī kā ye kāran na ban jaa.e
tumhārā shahr se jaanā mirā bīmār ho jaanā
vo apnā jism saarā sauñp denā merī āñkhoñ ko
mirī paḌhne kī koshish aap kā aḳhbār ho jaanā
kabhī jab āñdhiyāñ chaltī haiñ ham ko yaad aatā hai
havā kā tez chalnā aap kā dīvār ho jaanā
bahut dushvār hai mere liye us kā tasavvur bhī
bahut āsān hai us ke liye dushvār ho jaanā
kisī kī yaad aatī hai to ye bhī yaad aatā hai
kahīñ chalne kī zid karnā mirā tayyār ho jaanā
kahānī kā ye hissa ab bhī koī ḳhvāb lagtā hai
tirā sar par biThā lenā mirā dastār ho jaanā
mohabbat ik na ik din ye hunar tum ko sikhā degī
baġhāvat par utarnā aur ḳhud-muḳhtār ho jaanā
nazar nīchī kiye us kā guzarnā paas se mere
zarā sī der ruknā phir sabā-raftār ho jaanā