hañste hue māñ-bāp kī gaalī nahīñ khāte
bachche haiñ to kyuuñ shauq se miTTī nahīñ khāte
tum se nahīñ milne kā irāda to hai lekin
tum se na mileñge ye qasam bhī nahīñ khāte
so jaate haiñ fōtpath pe aḳhbār bichhā kar
mazdūr kabhī niiñd kī golī nahīñ khāte
bachche bhī ġharībī ko samajhne lage shāyad
ab jaag bhī jaate haiñ to saharī nahīñ khāte
dāvat to baḌī chiiz hai ham jaise qalandar
har ek ke paisoñ kī davā bhī nahīñ khāte
allāh ġharīboñ kā madad-gār hai 'rānā'
ham logoñ ke bachche kabhī sardī nahīñ khāte