ghar meñ rahte hue ġhairoñ kī tarah hotī haiñ
laḌkiyāñ dhaan ke paudoñ kī tarah hotī haiñ
uḌ ke ik roz bahut duur chalī jaatī haiñ
ghar kī shāḳhoñ pe ye chiḌiyoñ kī tarah hotī haiñ
sahmī sahmī huī rahtī haiñ makān-e-dil meñ
ārzūeñ bhī ġharīboñ kī tarah hotī haiñ
TuuT kar ye bhī bikhar jaatī haiñ ik lamhe meñ
kuchh umīdeñ bhī gharoñdoñ kī tarah hotī haiñ
aap ko dekh ke jis vaqt palaTtī hai nazar
merī āñkheñ mirī āñkhoñ kī tarah hotī haiñ