Munawwar Rana

kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
kisī ġharīb kī barsoñ kī aarzū ho jā.ūñ
maiñ is surañg se niklūñ tū āb-jū ho jā.ūñ
baḌā hasīn taqaddus hai us ke chehre par
maiñ us kī āñkhoñ meñ jhāñkūñ to bā-vazū ho jā.ūñ
mujhe pata to chale mujh meñ aib haiñ kyā kyā
vo aa.ina hai to maiñ us ke rū-ba-rū ho jā.ūñ
kisī tarah bhī ye vīrāniyāñ hoñ ḳhatm mirī
sharāb-ḳhāne ke andar kī hāv-hū jā.ūñ
mirī hathelī pe hoñToñ se aisī mohr lagā
ki umr-bhar ke liye maiñ bhī surḳh-rū ho jā.ūñ
kamī zarā sī bhī mujh meñ na koī rah jaa.e
agar maiñ zaḳhm kī sūrat huuñ to rafū ho jā.ūñ
na.e mizāj ke shahroñ meñ jī nahīñ lagtā
purāne vaqtoñ kā phir se maiñ lucknow ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com