Munawwar Rana

hum kuchh aise tere didar mein kho jate hain

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
ham kuchh aise tire dīdār meñ kho jaate haiñ
jaise bachche bhare bāzār meñ kho jaate haiñ
mustaqil jūjhanā yādoñ se bahut mushkil hai
rafta rafta sabhī ghar-bār meñ kho jaate haiñ
itnā sāñsoñ kī rifāqat pe bharosa na karo
sab ke sab miTTī ke ambār meñ kho jaate haiñ
merī ḳhuddārī ne ehsān kiyā hai mujh par
varna jo jaate haiñ darbār meñ kho jaate haiñ
DhūñDhne roz nikalte haiñ masā.il ham ko
roz ham surḳhi-e-aḳhbār meñ kho jaate haiñ
kyā qayāmat hai ki sahrāoñ ke rahne vaale
apne ghar ke dar-o-dīvār meñ kho jaate haiñ
kaun phir aise meñ tanqīd karegā tujh par
sab tire jubba-o-dastār meñ kho jaate haiñ
Top Urdushayar.com