ye but jo ham ne dobāra banā ke rakkhā hai
isī ne ham ko tamāshā banā ke rakkhā hai
vo kis tarah hameñ in.aam se navāzegā
vo jis ne hāthoñ ko kaasa banā ke rakkhā hai
yahāñ pe koī bachāne tumheñ na aa.egā
samundaroñ ne jazīra banā ke rakkhā hai
tamām umr kā hāsil hai ye hunar merā
ki maiñ ne shīshe ko hiirā banā ke rakkhā hai
kise kise abhī sajda-guzār honā hai
amīr-e-shahr ne khātā banā ke rakkhā hai
maiñ bach gayā to yaqīnan ye mo.ajiza hogā
sabhī ne mujh ko nishāna banā ke rakkhā hai
koī batā de ye sūraj ko jā ke ham ne bhī
shajar ko dhuup meñ chhātā banā ke rakkhā hai