aisā lagtā hai ki kar degā ab āzād mujhe
merī marzī se uḌāne lagā sayyād mujhe
maiñ huuñ sarhad pe bane ek makāñ kī sūrat
kab talak dekhiye rakhtā hai vo ābād mujhe
ek qisse kī tarah vo to mujhe bhuul gayā
ik kahānī kī tarah vo hai magar yaad mujhe
kam se kam ye to batā de ki kidhar jā.egī
kar ke ai ḳhāna-ḳharābī mirī barbād mujhe
maiñ samajh jaatā huuñ is meñ koī kamzorī hai
mere jis sher pe miltī hai bahut daad mujhe