mujh ko gahrā.ī meñ miTTī kī utar jaanā hai
zindagī bāñdh le sāmān-e-safar jaanā hai
ghar kī dahlīz pe raushan haiñ vo bujhtī āñkheñ
mujh ko mat rok mujhe lauT ke ghar jaanā hai
maiñ vo mele meñ bhaTaktā huā ik bachcha huuñ
jis ke maañ baap ko rote hue mar jaanā hai
zindagī taash ke pattoñ kī tarah hai merī
aur pattoñ ko bahar-hāl bikhar jaanā hai
ek be-nām se rishte kī tamannā le kar
is kabūtar ko kisī chhat pe utar jaanā hai