Munawwar Rana

duniya teri raunaq se main ab ub raha hun

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
duniyā tirī raunaq se maiñ ab uub rahā huuñ
tū chāñd mujhe kahtī thī maiñ Duub rahā huuñ
ab koī shanāsā bhī dikhā.ī nahīñ detā
barsoñ maiñ isī shahr kā mahbūb rahā huuñ
maiñ ḳhvāb nahīñ aap kī āñkhoñ kī tarah thā
maiñ aap kā lahja nahīñ uslūb rahā huuñ
rusvā.ī mire naam se mansūb rahī hai
maiñ ḳhud kahāñ rusvā.ī se mansūb rahā huuñ
sachchā.ī to ye hai ki tire qarya-e-dil meñ
ik vo bhī zamāna thā ki maiñ ḳhuub rahā huuñ
us shahr ke patthar bhī gavāhī mirī deñge
sahrā bhī batā degā ki majzūb rahā huuñ
duniyā mujhe sāhil se khaḌī dekh rahī hai
maiñ ek jazīre kī tarah Duub rahā huuñ
shohrat mujhe miltī hai to chup-chāp khaḌī rah
rusvā.ī maiñ tujh se bhī to mansūb rahā huuñ
pheñk aa.e the mujh ko bhī mire bhaa.ī kueñ meñ
maiñ sabr meñ bhī hazrat-e-ayyūb rahā huuñ
Top Urdushayar.com