kabhī ḳhushī se ḳhushī kī taraf nahīñ dekhā
tumhāre ba.ad kisī kī taraf nahīñ dekhā
ye soch kar ki tirā intizār lāzim hai
tamām-umr ghaḌī kī taraf nahīñ dekhā
yahāñ to jo bhī hai āb-e-ravāñ kā āshiq hai
kisī ne ḳhushk nadī kī taraf nahīñ dekhā
vo jis ke vāste pardes jā rahā huuñ maiñ
bichhaḌte vaqt usī kī taraf nahīñ dekhā
na rok le hameñ rotā huā koī chehra
chale to muḌ ke galī kī taraf nahīñ dekhā
bichhaḌte vaqt bahut mutma.in the ham donoñ
kisī ne muḌ ke kisī kī taraf nahīñ dekhā
ravish buzurgoñ kī shāmil hai merī ghuTTī meñ
zarūratan bhī sakhī kī taraf nahīñ dekhā