haañ ijāzat hai agar koī kahānī aur hai
in kaToroñ meñ abhī thoḌā sā paanī aur hai
maz.habī mazdūr sab baiThe haiñ in ko kaam do
ek imārat shahr meñ kaafī purānī aur hai
ḳhāmushī kab chīḳh ban jaa.e kise mālūm hai
zulm kar lo jab talak ye be-zabānī aur hai
ḳhushk patte aañkh meñ chubhte haiñ kāñToñ kī tarah
dasht meñ phirnā alag hai bāġhbānī aur hai
phir vahī uktāhaTeñ hoñgī badan chaupāl meñ
umr ke qisse meñ thoḌī sī javānī aur hai
bas isī ehsās kī shiddat ne būḌhā kar diyā
TūTe-phūTe ghar meñ ik laḌkī siyānī aur hai