Munawwar Rana

achchha hua ki mera nasha bhi utar gaya

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
achchhā huā ki merā nasha bhī utar gayā
terī kalā.ī se ye kaḌā bhī utar gayā
vo mutma.in bahut hai mirā saath chhoḌ kar
maiñ bhī huuñ ḳhush ki qarz mirā bhī utar gayā
ruḳhsat kā vaqt hai yūñhī chehra khilā rahe
maiñ TuuT jā.ūñgā jo zarā bhī utar gayā
bekas kī aarzū meñ pareshāñ hai zindagī
ab to fasīl-e-jāñ se diyā bhī utar gayā
ro-dho ke vo bhī ho gayā ḳhāmosh ek roz
do-chār din meñ rañg-e-hinā bhī utar gayā
paanī meñ vo kashish hai ki allāh kī panāh
rassī kā haath thāme ghaḌā bhī utar gayā
vo muflisī ke din bhī guzāre haiñ maiñ ne jab
chūlhe se ḳhālī haath tavā bhī utar gayā
sach bolne meñ nashsha ka.ī botaloñ kā thā
bas ye huā ki merā galā bhī utar gayā
pahle bhī be-libās the itne magar na the
ab jism se libās-e-hayā bhī utar gayā
Top Urdushayar.com