saarī daulat tire qadmoñ meñ paḌī lagtī hai
tū jahāñ hotā hai qismat bhī gaḌī lagtī hai
aise royā thā bichhaḌte hue vo shaḳhs kabhī
jaise sāvan ke mahīne meñ jhaḌī lagtī hai
ham bhī apne ko badal Dāleñge rafta rafta
abhī duniyā hameñ jannat se baḌī lagtī hai
ḳhushnumā lagte haiñ dil par tire zaḳhmoñ ke nishāñ
beach dīvār meñ jis tarah ghaḌī lagtī hai
tū mire saath agar hai to añdherā kaisā
raat ḳhud chāñd sitāroñ se jaḌī lagtī hai
maiñ rahūñ yā na rahūñ naam rahegā merā
zindagī umr meñ kuchh mujh se baḌī lagtī hai