Munawwar Rana

kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
kisī ko ghar milā hisse meñ yā koī dukāñ aa.ī
maiñ ghar meñ sab se chhoTā thā mire hisse meñ maañ aa.ī
yahāñ se jaane vaalā lauT kar koī nahīñ aayā
maiñ rotā rah gayā lekin na vāpas jā ke maañ aa.ī
adhūre rāste se lauTnā achchhā nahīñ hotā
bulāne ke liye duniyā bhī aa.ī to kahāñ aa.ī
kisī ko gaañv se pardes le jā.egī phir shāyad
uḌātī rail-gāḌī Dher saarā phir dhuāñ aa.ī
mire bachchoñ meñ saarī ādateñ maujūd haiñ merī
to phir in bad-nasīboñ ko na kyuuñ urdu zabāñ aa.ī
qafas meñ mausamoñ kā koī andāza nahīñ hotā
ḳhudā jaane bahār aa.ī chaman meñ yā ḳhizāñ aa.ī
gharauñde to gharauñde haiñ chaTāneñ TuuT jaatī haiñ
uḌāne ke liye āñdhī agar nām-o-nishāñ aa.ī
kabhī ai ḳhush-nasībī mere ghar kā ruḳh bhī kar letī
idhar pahuñchī udhar pahuñchī yahāñ aa.ī vahāñ aa.ī
Top Urdushayar.com