sahrā pe burā vaqt mire yaar paḌā hai
dīvāna ka.ī roz se bīmār paḌā hai
sab raunaq-e-sahrā thī isī pagle ke dam se
ujḌā huā dīvāne kā darbār paḌā hai
āñkhoñ se Tapaktī hai vahī vahshat-e-sahrā
kāñdhe bhī batāte haiñ baḌā baar paḌā hai
dil meñ jo lahū-jhīl thī vo suukh chukī hai
āñkhoñ kā do-ābā hai so be-kār paḌā hai
tum kahte the din ho ga.e dekhā nahīñ us ko
lo dekh lo ye aaj kā aḳhbār paḌā hai
oḌhe hue ummīd kī ik mailī sī chādar
darvāza-e-baḳhshish pe gunahgār paḌā hai
ai ḳhāk-e-vatan tujh se maiñ sharminda bahut huuñ
mahñgā.ī ke mausam meñ ye tyauhār paḌā hai