Munawwar Rana

masarraton ke KHazane hi kam nikalte hain

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
masarratoñ ke ḳhazāne hī kam nikalte haiñ
kisī bhī siine ko kholo to ġham nikalte haiñ
hamāre jism ke andar kī jhiil suukh ga.ī
isī liye to ab aañsū bhī kam nikalte haiñ
ye karbalā kī zamīñ hai ise salām karo
yahāñ zamīn se patthar bhī nam nikalte haiñ
yahī hai zid to hathelī pe apnī jaan liye
amīr-e-shahr se kah do ki ham nikalte haiñ
kahāñ har ek ko milte haiñ chāhne vaale
nasīb vāloñ ke gesū meñ ḳham nikalte haiñ
jahāñ se ham ko guzarne meñ sharm aatī hai
usī galī se ka.ī mohtaram nikalte haiñ
tumhī batāo ki maiñ khilkhilā ke kaise hañsūñ
ki roz ḳhāna-e-dil se alam nikalte haiñ
tumhāre ahd-e-hukūmat kā sāneha ye hai
ki ab to log gharoñ se bhī kam nikalte haiñ
Top Urdushayar.com