maiñ is se pahle ki bikhrūñ idhar udhar ho jā.ūñ
mujhe sambhāl le mumkin hai dar-ba-dar ho jā.ūñ
ye āb-o-tāb jo mujh meñ hai sab usī se hai
agar vo chhoḌ de mujh ko to maiñ khañDar ho jā.ūñ
mirī madad se khujūroñ kī fasl pakne lage
maiñ chāhtā huuñ ki sahrā kī dopahar ho jā.ūñ
maiñ ās-pās ke mausam se huuñ tar-o-tāza
maiñ apne jhunD se niklūñ to be-samar ho jā.ūñ
baḌī ajiib sī hiddat hai us kī yādoñ meñ
agar maiñ chhū luuñ pasīne se tar-ba-tar ho jā.ūñ
maiñ kachchī miTTī kī sūrat huuñ tere hāthoñ meñ
mujhe tū Dhaal de aise ki mo'atabar ho jā.ūñ
bachī-khuchī huī sāñsoñ ke saath pahuñchānā
suno havāo agar maiñ shikasta-par ho jā.ūñ