thakan ko oḌh ke bistar meñ jā ke leT ga.e
ham apnī qabr-e-muqarrar meñ jā ke leT ga.e
tamām umr ham ik dūsre se laḌte rahe
magar mare to barābar meñ jā ke leT ga.e
hamārī tishna-nasībī kā haal mat pūchho
vo pyaas thī ki samundar meñ jā ke leT ga.e
na jaane kaisī thakan thī kabhī nahīñ utrī
chale jo ghar se to daftar meñ jā ke leT ga.e
ye bevaqūf unheñ maut se Darāte haiñ
jo ḳhud hī sāya-e-ḳhanjar meñ jā ke leT ga.e
tamām umr jo nikle na the havelī se
vo ek gumbad-e-be-dar meñ jā ke leT ga.e
sajā.e phirte the jhūTī anā jo chehroñ par
vo log qasr-e-sikandar meñ jā ke leT ga.e
sazā hamārī bhī kaaTī hai bāl-bachchoñ ne
ki ham udaas hue ghar meñ jā ke leT ga.e