Munawwar Rana

ana hawas ki dukanon mein aa ke baiTh gai

Munawwar Rana

Raebareli, Uttar pradesh, India

1952
anā havas kī dukānoñ meñ aa ke baiTh ga.ī
ajiib mainā hai shikroñ meñ aa ke baiTh ga.ī
jagā rahā hai zamāna magar nahīñ khultīñ
kahāñ kī niiñd in āñkhoñ meñ aa ke baiTh ga.ī
vo fāḳhta jo mujhe dekhte hī uḌtī thī
baḌe salīqe se bachchoñ meñ aa ke baiTh ga.ī
tamām talḳhiyāñ sāġhar meñ raqs karne lagīñ
tamām gard kitāboñ meñ aa ke baiTh ga.ī
tamām shahr meñ mauzū-e-guftugū hai yahī
ki shāhzādī ġhulāmoñ meñ aa ke baiTh ga.ī
nahīñ thī dūsrī koī jagah bhī chhupne kī
hamārī umr khilaunoñ meñ aa ke baiTh ga.ī
uTho ki os kī būñdeñ jagā rahī haiñ tumheñ
chalo ki dhuup darīchoñ meñ aa ke baiTh ga.ī
chalī thī dekhne sūraj kī bad-mizājī ko
magar ye os bhī phūloñ meñ aa ke baiTh ga.ī
tujhe maiñ kaise batā.ūñ ki shaam hote hī
udāsī kamre ke tāqoñ meñ aa ke baiTh ga.ī
Top Urdushayar.com