zindagī jab bhī āzmātī hai
kuchh na kuchh to hameñ sikhātī hai
har haqīqat samajh meñ aatī hai
maut jab aa.ina dikhātī hai
ek nannhī parī hai āñgan meñ
jo mire ghar ko ghar banātī hai
koī pāgal lahar kināre par
jaane kyā likhtī hai miTātī hai
sar-phirī ho ga.ī hai ik laḌkī
vo havā meñ diyā jalātī hai